ek admi militry mein jane ke liye interview dene gaya,vahan bahut badi line lagi hui thi ,vo admi kabhi line ke ander jata kabhi bahar aata ,to jab uski bari aayi to jo interview le rahe the unhone pucha “kya bat hai bhaiya kabhi aap line ke ander ja rahe the kahi bahar”
To vi aadmi kahta ki
“agar main line se bahar rahunga to koi bat nahi,ander rahunga to do batein ho jayengi,ya to aap mujhe select karoge ya nahin,na karoge to koi baat nahin, kar liya to fir do batein ho jayengi,ya to main ladne jaunga ya nahin ,nahin jaunga to thik hai ,varna do batein ho jayengi,ya to main mar jaunga ya jinda rahunga,jinda raha to koi bat nahin mar jaunga to fir do batein ho jayengi,ya to aap mujhe jalaoge ya dafna do ge ,jale do ge to koi bat nahin,dafna do ge to fir do batein ho jayengi,ya to vahan kikar ka ped ugega ya babul ka ,kikar ka ugega to koi bat nahi ,babul ka ugega to firdo batein ho jayengi,ya to usse sabun banegi ya tel banega ,tel banega to koi bat nahin,sabun banegi to fir do batein ho jayengi,ya to usse aadmi nahaega ya ladies ,aadmi nahaega to koi bat nahin ladies nahaegi to mujhe saram aaegi”